Once upon a time in Bangalore
Dhoonda hai tujhe, tu dua h meri aakhiri
farishte jaisa dil or anumol teri saadgi
duaaon me mere bas zikr h tere hone ka
cheenkar laya hu khuda se mene apne raato ki ye chaandni
kehta hu roz khuda se, mila de mujhe tujhse ek pal ke lie kahi,
jata de apna pyaar, chahe jhootha hi sahi
na jane khoya khoya sa ku rehne lga hu, teri aankhon me ab
jaise mano meri Puri duniyaan, thehri ho yahi
laakho tammanao ke baad rab ne fr mujhko ye bataya
uss khoobsurat naazare ki roshni ne har kisiko hai jalaya
mene bhi rab se ki guzarish, or aag me jalne ka fitrat yu banaya
khuda bhi mujhse heiraan, aisa ye pyaar jo mene
hai jataya
Comments
Post a Comment